Sunday 12 June 2011

zindginama: zindginama: pyaar ki gali

zindginama: zindginama: pyaar ki gali: "zindginama: pyaar ki gali : 'Us sakari gali me jaha tum rahti thi, Jane kitne khwabo ne kis tarah apna rasta bana liya tha.... Kahti raha ..."

zindginama: pyaar ki gali

zindginama: pyaar ki gali: "Us sakari gali me jaha tum rahti thi, Jane kitne khwabo ne kis tarah apna rasta bana liya tha.... Kahti raha karti thi tum mujh se ki kyu ..."

pyaar ki gali

Us sakari gali me jaha tum rahti thi,
Jane kitne khwabo ne kis tarah apna rasta bana liya tha....
Kahti raha karti thi tum mujh se ki kyu aise khwab sajata hu,
Jinke tukde aankho se aasoo nhi khoon ka sabab banenge....
Pagli, ab tumhe kaise samjhata ki bhala khwab bhi marzi se dekhe jate hain....
Wo to bas aa jate hain....
Aaj jab wo sare khwab aankhe khulne k sath din k ujaale me kahi kho gaye to dekha,
Ki
Un khwabo ka ek nanha sa tukda tumhare aanchal me jaa gira hai....
Dekhna kal jab ye nanha sa khwab mukammal hoga to mere hisse ki wo sari khusiya,
Jo kabhi maine sajoyi thi tumhare liye, tumhare kadamo par rakh dega....
Sab kuch waisa hi to hoga jaisa maine socha tha bas mere siwa....
Dekha mere aankho k khwab poore ho gaye na????
Bas kisi aur k pahlu me hain wo sab....
Par mai khus hu, mere khwab mukammal to hue kisi aur ki aankho me hi sahi